LOADING....!!!!!

Namaz Ke Sharait

Published : 04 Jun 2020

Namaz Ke Sharait

Published : 04 Jun 2020

SHARAIT E NAMAZ : 

NAMAZ MAIN KUL 6 SHARAAIT HAIN

(1) TAHARAT:

(2) SATR E AURAT: 

(3) ISTIKQBAL E QIBLA:

(4)WAQT:

(5) NIYYAT:

(6) TAKBIRE TEHREEMA:

__________________________________

(1) TAHARAT:

YA’NI NAMAZI KA BADAN, KAPDE AUR NAMAZ KI JAGAH HAR QISM KI NAJAST SE PAAK HO AUR NAMAZI BEGUSL AUR BEWUZU NA HO.


(2) SATR E AURAT: 

MARD KO NAAF SE GUTUTNO TAK CHUPANA AUR AURAT KA SIWAE CHEHRA,HATHELI AUR QADAM KE, PURA BADAN CHUPANA. 

AURAT AGAR ITANA BAREEK DUPATTA ODH KAR NAMAZ PARHE JISSE BAAL KI SIYAHI CHAMKE TO NAMAZ NA HOGI. JAB TAK KE US PAR AYSI KOI CHIZ NA ODHE KE JISSE BAAL KI SIYAHI CHHUP JAAE.


(3) ISTIKQBAL E QIBLA:

YA'N1I NAMAZ MAIN QIBLA KI TARAF MUH KARNA.AGAR QIBLA KI SIMT MAIN SHUB'HA HO TO KISI SE DARYAFT KARNA AGAR KOI DUSRA MAUJOOD NAHI HE TO GOR O FIKR KE BAAD JIDHAR DIL JAME USI TARAF MUH KARKE NAMAZ PADH LE.PHIR AGAR NAMAZ KE BAAD MA'LUM HUWA KE QIBLA DUSRI SIMT THA TO KOI HARJ NAHI NAMAZ HO JAYEGI.


(4)WAQT:

WAQT PAR NAMAZ PADHNA ,WAQT SE PEHLE NAMAZ PADHI TO NA HUWI.


(5) NIYYAT:

YANI DIL KE PAKKE IRADE KE SATH NAMAZ PADHNA JARURI HE. AUR ZABAN SE NIYAAT KE ALFAZ KEH LENA JARURI HE. ISME ARBI KI TAKHSSUS NAHI URDU WAGERA ME BHI HO SAKTI HE. AUR NIYYAT KI MENE. AUR NIYAAT KARTA HU ME NA KAHIYE.


(6) TAKBIRE TEHREEMA:

NAMAZ KE SHURU ME ALLAHU AKBAR KEHNA SHART HE.


#Bahare_Shariat



Share It on

WhatsApp