LOADING....!!!!!

Namaz Ke Faraiz

Published : 03 Jun 2020

Namaz Ke Faraiz

Published : 03 Jun 2020

NAMAZ MAIN KUL 7 FARZ HAIN 

1.TAKBIR E TEHREEMA
2.QAYAAM
3.QIRA'AT
4.RUKU'
5.SAJDA
6.QA'DAH E AKHIRAH
7.KHURUJ E BISUN'IHI

1.TAKBIR E TEHREEMA :

NAMAZI QIBLA RUKH SIDHA KHADA HOKAR HATHON KO KAANO TAK UTHATE HUWE TAKBIR E TEHREEMA KAHE. 

2.QAYAAM :

KHADE HOKAR NAMAZ ADA KARNA JARURI HE TO AGAR KISI NE BAGER UZR BETH KAR NAMAZ PADHI TO NA HUWI.KHWAH AURAT HO YA MARD. 
HA, NAFL NAMAZ BETH KAR PADHNA JAIZ HAI. 

3.QIRA'AT:
FARZ KI DO RAKA'ATON ME AUR WITR OR NIFL KI HAR RAKA'AT ME QURAAN SHARIF PADHNA JARURI HAI, AGAR KISI NE UNME QURAN NA PADHA TO NAMAZ NA HOGI. 
AKELE NAMAZ PADH RAHE HON TO AAHISTA QURAAN PADHEN ITNA KE KHUD SUN SAKEN AGAR ITNA AHISTA PADHA KE KHUD NA SUNA TO NAMAZ NA HOGI.

4th. RUKU' :. 
RUKU' KA ADNA DARJA YE HE K HATH GUTNO TAK PAHUCH JAAEN AUR PURA RUKU' YE HE KE PEETH SIDHI BICHA DE AUR SAR PEETH KE BARABAR RAKKHE. UNCHA NICHA NA RAKKHE.

5th. SAJDA:
PESHANI ZAMEEN PAR JAMNA SAJDE KI HAQIQAT HE AUR PAON KI EK UNGLI KA PET ZAMEEN PAR LAGNA SHART HE.YANI KAM SE KAM PAON KI EK UNGLI KO MOD KAR QIBLA RUKH KARNA ZARURI HE.AGAR KISI NE IS TARAH SAJDA KIYA KE DONO PAON ZAMEEN SE UTHE RAHE TO NAMAZ NA HOGI. BALKE SIRF UNGLI KI NOK ZAMEEN PAR LAGI TAB BHI NAMAZ NA HOGI.

6TH. QA'DAH E AKHIRAH 
NAMAZ KI RAK'ATEN PURI KARNE KE BAAD(التحيات و رسوله)"ATTAHIYATU (se)WA RASOOLUH" KI MIQDAR TAK BETHNA FARZ HAI.

#Bahare_Shariat

Share It on

WhatsApp