LOADING....!!!!!

Hazrat Sayyedana Amire Hamza

Published : 07 Jun 2020

Hazrat Sayyedana Amire Hamza

Published : 07 Jun 2020

Hazrat Sayyedana Amire Hamza (Radiyallahu Ta'ala Anhu)


15 Shawwal Junge Uhad Shahadate Hazrat Amire Hamza (Radiyallahu Anhu) 


Alqaab :

‾‾‾‾‾‾‾‾

Asad ur Rasool, Sayyed-ush-Shohada.


**********

Aap ki wilaadat 567 A.D. me Makka me hui.


Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Muttalib ibn Haashim aur waalida ka naam Haala bint Uhayb hai.

Aap Quraish ke Banu Haashim qabeele se ta’alluq rakhte hain.


Aap Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke Chacha aur Ahle bait hain.


**********

3 Nabawi (616 A.D.) me ek baar shikaar se waapas aaye to aap ko pata chala ki Abu Jahl ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam par hamla kiya hai aur un ko bura kaha hai. Aap use talaash karte hue Ka’aba me pahunche. Abu Jahl apne saathiyo ke saath waha baitha tha. Aap ne kaha ‘Tum ne Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ko takleef di hai. Ab main us ka badla lunga.’ Ye kehkar aap ne us ke sar par waar kiya, jis se wo jakhmi ho gaya.

Phir aap ne Daar-al-Arqaam me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aakar ye sab bataaya.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Aye mere chacha, Agar aap Islaam apna len, to mujhe sab se zyada khushi hogi.’

Aap foran kalma padhkar eimaan laaye.

Phir aap Ka’aba shareef par gaye aur Quraish ke saamne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki shaan wa ehsaanaat bayaan karte hue taqreer farmai.


Aap bahot bahaadur the.

Aap ke muslaman hone se Islaam ko nai taaqat mili.


622 A.D. me aap hijrat karke Madeena aa gaye.

Yaha Aap Masjid ki taameer ke kaam me madad karte rahe.


**********

Hijrat ke 7 mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par aap 30-40 musalmano ke giroh ke saath Juhayna ilaake me al-Is ke samundar ke kinaare par Abu Jahl ki sardaari me Shaam se aa rahe 300 Kaafiro ke giroh ka muqaabala karne ke liye pahunche. Magar Majdi bin Amr al-Juhani ke samjhane par dono giroh ne jang nahi ki. Aur Hazrate Hamza musalmano ko lekar Madeena waapas aaye.


**********

17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 A.D.) ko Jange Badr me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Ubaida ibne Haaris radiy-Allahu ta’ala anhuma ko Makka ke kaafiro ke muqabale me bheja.

Hazrate Hamza ne Shaiba ko qatl kiya aur Ubaida ke jakhmi hone ke baad Utba ko bhi qatl kiya.

Aur phir jab jang shuru hui to kai kaafiro ko qatl kiya.


**********

Is ke baad 10 Shawaal 2 Hijri (624 A.D.) ko Madeena me Banu Qaynuqa ke khilaaf jang me bhi saamil hue.


**********

3 Hijri me Jang e Uhad se pehle Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne taqreeban 30 tirandaaj ashaba ko ek pahaadi par theharkar nigraani karne ke liye farmaya aur farmaaya ke ‘Haalat kaise bhi ho chahe fateh mile ya nakaami, jab tak mera hukm na ho tum log yaha se hanta nahi.’

Jab jang shuru hui aur kuchh waqt baad kuffar musalmano ka muqaabala na kar sake aur maidaan chhodkar bhaagne lage tab pahadi par thehre hue un ashaaba ne socha ke ab to musalmano ko fateh milne wali hai. Is liye hume bhi neeche aa jaana chaahiye. Hazrat Abdullah bin Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu ne unhe bahot roka aur kaha ‘Jab tak Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ka hukm na ho hume neeche nahi jaana chaahiye’ Magar wo nahi maane aur pahaadi par se neeche aa gaye.

Kaafiro ke sardaar Khaalid bin Waleed ne jab mauqa dekha to apne ghud-sawaar saathiyo ke saath musalmano par peeche se hamla kiya. Aur baazi palat gai aur Musalmano ko apni hifaazat ke liye bhaagna pada.


Hazrate Hamza radiy-Allāhu ta’ala anhu, Hazrat Ali, Hazrate Sa’ad bin Abi Waqqaas, Hazrate Talha bin Ubaidullah, Hazrate Abu Duzaana, Hazrate Abu Talha, Hazrate Qataadah bin Nomaan Ansari aur deegar ashaaba radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne bahot bahaaduri se kaafiro ka muqaabala kiya aur Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki hifaazat ki.


Hazrate Hamza ne bahot bahaduri se ladte hue dono haath me talwaar ke saath kaafiro ka muqaabala karte rahe aur kisi ko aage aane nahi diya. Aap ne 31 kaafiro ko waasile jahannam kiya.


Jubair ibn Mut’im ne apne chacha Tuwayma ibn Adiy ki maut ka badla lene ke liye Wahshi ibn Harb naam ke ghulam ko tayyar kiya tha. Us ghulaam ne aap ko shaheed kar diya. Aur Hind bint Utbah ne apne baap ki maut ka badla lene ke liye aap ke naak, kaan, haath kaate aur aap ka kaleja nikaalkar chabaaya.

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ki laash ko talaash karke pehchana aur aap ko ‘Sayyed ush Shoahda’ aur ‘Asadul ur Rasool’ ke alqaab ata farmaaye ya’ni ‘Tamaam shohada ke sardaar’ aur ‘Rasool-Allāh ka Sher’.


♦ Is jung me Utbah bin Abi Waqqaas ne patthar phenkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke dandaane mubarak shaheed kiye the.


♦ Is jung se pehle Abdullāh bin Ummi apne 300 munaafiq saathiyo ke saath alag ho gaya tha.


**********

Aap ki shahaadat 15 Shawwaal 3 Hijri (19 March 625 A.D.) ko Shanichar ke roz hui.


**********

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam har saal Shohada e Uhad ki mazaar par tashreef le jaate aur waha farmate ‘Tum par salaam ho kyun ki tum ne sabr kiya. Tumhara akhirat ka ghar kaisa achha hai.’

Isi tarah Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Usmaan Ghani aur Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhuma bhi har saal Shohada e Uhad ke mazaar e mubarak ki ziyarat karte the.’


Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya hai :

(1) Shohada e Uhad ke mazaar par jaakar Salaam paish kiya karo ke jo bhi aisa karega Qayaamat tak un ke Salaam ka jawaab paayega.

(2) Jin ki dua qubool hone me der hoti ho unhe chaahiye ke Hazrate Hamza ke waseele se dua karen, In sha Allāh zaroor qubool hogi.


**********

Aap ki 3 biwiya aur 3 bete aur 3 betiya hain.


(1) Salma bint Umays se

1 beti : Umaama bint Hamza;

(2) Binte Milla ibn Malik al-Awsi se

1 beta : Aamir;

(3) Khawla bint Qays al-Najjari se

2 bete : Yaala aur Umara;

2 betiya : Jin ka bachpan me hi inteqaal ho gaya.


**********

Jange Uhad me Hazrate Ameer Hamza radiy-Allāhu ta’ala anhu aur 69 dusre ashaaba shaheed hue. Shohada e Uhad ko Jable uhad par dafn kiya gaya. Aur chand shohada ko Jannatul Baqi me dafn kiye gaye.

46 saal ke baad ek baar nehar ka paani un ki qabro me jaane se nuqsaan hone ka andesha tha tab Baadshaah ne mashwara karke ye tay kiya ke Shohada ko qabro se nikaalkar dusri salaamat jagah par dafn kiya jaaye.


Jab Shohada e Uhad ki qabro ko khola gaya to pata chala ke tamaam shohada ke jism aur kafan usi tarah mehfooz the aur un ke jakhmo se khoon jaari tha aur shohada ke haath un ke jakhm par the. Jab un ke haath ko sahi karne koshish ki gai to phir se un ke haath un ke jakhmo par waapas aa jata.


Phir unhe nai qabro me dafn kiya gaya. Ek qabr me Hazrate Hamza, Dusri do qabro me Abdullāh ibne Jabash aur Musa’ab ibne Umair aur dusre 63 ashaaba ko ek badi qabr me dafn kiya gaya.


Un Shohada ke Mazaar Jable Uhad par hain.

Hajj ya Umrah ke liye jaane wale jab Madeena shareef jaate hain tab un ke mazaar ki ziyarat ke liye jaate hain.


****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ahle bait aur Ashaaba aur tamaam Shohada ke waseele se

Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.


Share It on

WhatsApp